pahli barsat ki ghaTa chhai
aaj khiDki se kuchh hawa aai
apni kuTiya mein roz-e-matam hai
un ke koThe pe roz-e-shahnai
lu ke mausam pe fath paegi
ek na ek din zarur purwai
us ki pazeb ki sada sun kar
gungunati hui saba aai
ek taraf KHak-o-KHun ka aalam
ek taraf aish mein hai darai
shab mein jab us ko KHwab mein dekha
baDh gai subh meri binai

Ghazal
Pahli barsat ki ghaTa chhai
Rifat Al-Husaini