اردو हिंदी
Pahle to shahr bhar mein misal aaine hue | Shaahi Shayari
pahle to shahr bhar mein misal aaine hue

Ghazal

Pahle to shahr bhar mein misal aaine hue

Khalid Mahmood Zaki

;

pahle to shahr bhar mein misal aaine hue
phir gard se sarapa sawal aaine hue

chehra chhupae phirta hai gahre naqab mein
ek shaKHs ko to lau ki misal aaine hue

hum ko saza mili ki ujale the aaine
so apni jaan pe sara wabaal aaine hue

phir yun hua ki zabt ki surat nahin rahi
aur shahr-e-be-nawa ke ghazal aaine hue

jin ke sabab se hum hue matub shahr mein
ek waqt aa gaya wo KHayal aaine hue

wo dard ji uTha ki gareban the tar tar
wo rut umaD paDi ki nihaal aaine hue