pahla patthar yaad hamesha rahta hai
dukh se dil aabaad hamesha rahta hai
pas rahen ya dur magar un aaankhon mein
mausam-e-abr-o-baad hamesha rahta hai
qaid ki KHwahish us ka dukh ban jati hai
jo panchhi aazad hamesha rahta hai
ek gul-e-be-mehr khilane ki KHatir
qarya-e-dil barbaad hamesha rahta hai
is ke liye main kya kya swang rachata hun
wo phir bhi nashad hamesha rahta hai
panw thamen to kaise 'sabir' apne sath
ek safar ijad hamesha rahta hai
Ghazal
Pahla patthar yaad hamesha rahta hai
Sabir Waseem