pahchan kam hui na shanasai kam hui
baqi hai zaKHm zaKHm ki gahrai kam hui
sulga hua hai zist ka sahra ufuq ufuq
chehron ki dilkashi gai zebai kam hui
duri ka dasht jis ke liye sazgar tha
aangan mein qurb ke wo shanasai kam hui
ab shahr shahr aam hai goyai ka sukut
jab se lab-e-sukut ki goyai kam hui
kuchh ho na ho KHamoshi-e-aina se magar
parchhaiyon ki marka-arai kam hui
har rang zindagi hai tah-e-gard-o-rozgar
taswir ki wo raunaq-o-ranai kam hui
ek ajnabi dayar mein guzre hain din magar
ye kam nahin KHulus ki ruswai kam hui
'rahi' rafaqaton ka ye anjam dekh kar
sae ke sath apni shanasai kam hui

Ghazal
Pahchan kam hui na shanasai kam hui
Rahi Quraishi