pae-gul-gasht suna hai ki wo aaj aate hain
phulon ki bhi ye KHushi hai ki khile jate hain
bahr-e-taskin-e-dil ahbab ye farmate hain
aap kahiye to abhi ja ke bula late hain
gudgudi kar ke hansate hain jo ghash mein ahbab
kis ke rumal se talwe mere sahlate hain
aap ke hote kisi aur ko chahun tauba
kis taraf dhyan hai kya aap ye farmate hain
meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale
mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain
bulbulo bagh mein ghafil na kahin ho jaana
har taraf ghat mein sayyaad nazar aate hain
KHub pahchan liya hum ne tumhein dil de kar
sach kaha hai ki jo khote hain wahi pate hain
mujh ko bawar nahin sach sach ye bata de hamdam
tu ne kis se ye suna hai ki wo aaj aate hain
kya dil o dida bhi harkare hain subhan-allah
lakh pardon mein koi ho ye KHabar late hain
dekh achchha nahin 'jauhar' kahin mail hona
jab bhi samjhate the ab bhi tujhe samjhate hain
Ghazal
Pae-gul-gasht suna hai ki wo aaj aate hain
Lala Madhav Ram Jauhar