paDe paDe nai zar-KHeziyan nikal aain
kaTe daraKHt mein phir Tahniyan nikal aain
us aaine mein tha sarsabz bagh ka manzar
chhua jo main ne to do titliyan nikal aain
main toD Dala gaya to imarat-e-jaan mein
kahan kahan se meri chabiyan nikal aain
main aasman pe pahuncha to laDkhaDane laga
bulandiyon mein ajab pastiyan nikal aain
Thahar gae to mayassar hui na ja-e-aman
jo chal paDe to kai bastiyan nikal aain
wahi nasib ki main shahryar jis se bana
usi nasib mein tang-dastiyan nikal aain
mere ilaj ko allah istaqamat de
mere mariz ki phir pasliyan nikal aain
main aasman se utra zamin ki jaanib
zamin se meri taraf siDhiyan nikal aain
wahi suraKH jahan chhipkili ka Dera tha
usi suraKH se phir chyunTiyan nikal aain
abhi abhi to sambhaala gaya tha gard-o-ghubar
hisar-e-dasht mein phir aandhiyan nikal aain
sambhaal rakha tha ammi ne jis ko maut talak
usi kabaD se kuchh taKHtiyan nikal aain
main aaKHiri tha jise sarfaraaz hona tha
mere hunar mein bhi kotahiyan nikal aain
Ghazal
PaDe paDe nai zar-KHeziyan nikal aain
Liaqat Jafri