paDa na farq koi pairahan badal ke bhi
lahu lahu hi raha jam ke bhi pighal ke bhi
badan ne chhoD diya ruh ne riha na kiya
main qaid hi mein raha qaid se nikal ke bhi
tahon ka shor bhi ab satah par sunai de
wo josh mein hai to phir jism o jaan se chhalke bhi
nai ruton mein bhi 'sabir' udasiyan na gain
KHamida-sar hai har ek shaKH phul phal ke bhi
Ghazal
PaDa na farq koi pairahan badal ke bhi
Sabir Zafar