paya koi shajar na koi aasra laga
wo dhup thi ki apna hi saya KHuda laga
ghabra ke baam-o-dar ke sulagte sukut se
jhanka hi tha gali mein ki sang-e-sada laga
jhaDi jo aag chehron ki rangat badal gai
us ke dukhon ka zikr sabhi ko bura laga
dekha use to aks-e-tamanna chamak uThe
is shahr-e-sang mein wo mujhe aaina laga
sahra ko der se thi kisi abr ki talash
paya mujhe to wo mere sine se aa laga
kitna badal gaya hai wo zulfen tarash kar
dekha jo dur se to koi dusra laga
chhute hi us ko ghuncha-e-ehsas khil uThe
'rashid' thake badan ko wo mauj-e-saba laga

Ghazal
Paya koi shajar na koi aasra laga
Mumtaz Rashid