اردو हिंदी
Pas rahna bhi aur pare rahna | Shaahi Shayari
pas rahna bhi aur pare rahna

Ghazal

Pas rahna bhi aur pare rahna

Jameeluddin Qadri

;

pas rahna bhi aur pare rahna
hae un ka Dare Dare rahna

zindagi nam KHud hai halchal ka
hath par hath kyun dhare rahna

jo ghazal ko sameT leti hai
us ada par mare mare rahna

ye bhi zinda-dili ka masraf tha
sath shahon ke masKHare rahna

baat qad-awari ki chalti hai
ai 'jamil' aap kuchh pare rahna