paniyon se ret par jo aa gaya meri tarah
zindagi ki dhup mein jalta raha meri tarah
us ke honTon se bhi amrit ki mahak aane lagi
ghaaliban zahr-e-halahal pi liya meri tarah
aap ko wo apni rahmat se nawazega zarur
sidq-e-dil se mangiye bhi to dua meri tarah
koi parde se nikal kar samne aa jaega
shart lekin ye hai tum bhi dekhna meri tarah
sahilon ki qaid se aazad ho sakta hai tu
apne dariya mein koi tufan uTha meri tarah
kufr-o-baatil ki safon ko chir kar bahar nikal
nam apna haq paraston mein likha meri tarah
anjuman-dar-anjuman tafriq-e-KHas-o-am hai
hai koi jo raaz kah de barmala meri tarah

Ghazal
Paniyon se ret par jo aa gaya meri tarah
Shafiullah Raz