pani shajar pe phul bana dekhta raha
aur dasht mein babul bana dekhta raha
ayyam ke ghubar se nikla to der tak
main raston ko dhul bana dekhta raha
tu bazuon mein bhar ke gulabon ko so rahi
main bhi KHizan ka phul bana dekhta raha
konpal se ek lab se faramosh ho ke main
kis guftugu mein tul bana dekhta raha
baada-kashon ke KHun se chhalakta tha mai-kada
KHamiyaza-e-malul bana dekhta raha
pichhle khanDar se agle khanDar tak tha intizar
main aatma ki bhul bana dekhta raha
nam-o-numud haft-jihat saunp kar mujhe
suraj dhanak mein dhul bana dekhta raha
tha sabza-e-kashida daraKHton ke darmiyan
na-qabil-e-qubul bana dekhta raha
tajsim-e-nau-ba-nau ka karishma tha aur hi
main apna sa usul bana dekhta raha
lauh-o-qalam ki KHair-segali ke waste
shiraaza-e-nuzul bana dekhta raha
bante hi miT gaya tha KHabar hi na ho saki
main naqsh ko fuzul bana dekhta raha
chuTki se baDh ke tha na hajam phir bhi main 'nawed'
aameze mein hulul bana dekhta raha
Ghazal
Pani shajar pe phul bana dekhta raha
Afzal Naved