اردو हिंदी
Pani miT kar bhi rah gaya pani | Shaahi Shayari
pani miT kar bhi rah gaya pani

Ghazal

Pani miT kar bhi rah gaya pani

Indr Mohan Mehta Kaif

;

pani miT kar bhi rah gaya pani
hue kya baat kah gaya pani

kaT gaya bund bund mein patthar
choT patthar ki sah gaya pani

KHwab bhi barf ke gharaunde the
jab khuli aankh rah gaya pani

shor kitna kiya tha lahron ne
ek tufan mein bah gaha pani

zindagi nam hai rawani ka
jate jate ye kah gaya pani

hum nazaron ko dekhte hi rahe
pul ke niche se bah gaya pani