pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai
honTon par aate har qatra sukh raha hai
andhe ho kar baadal bhage phirte hain
gate gate ek parinda aag hua hai
phul aur phal to taza konpal par aate hain
pila patta is wahshat mein TuT raha hai
gardish gardish chalne se hi kaT paega
chaaron jaanib ek safar ka jal bichha hai
usi peD ke niche dafn bhi hona hoga
jis ki jaD par main ne apna nam likha hai
Ghazal
Pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai
Ali Akbar Abbas