pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai
ab bhi jalta shahr bachaya ja sakta hai
ek mohabbat aur wo bhi nakaam mohabbat
lekin is se kaam chalaya ja sakta hai
dil par pani pine aati hain ummiden
is chashme mein zahr milaya ja sakta hai
mujh gumnam se puchhte hain farhad o majnun
ishq mein kitna nam kamaya ja sakta hai
ye mahtab ye raat ki peshani ka ghaw
aisa zaKHm to dil par khaya ja sakta hai
phaTa-purana KHwab hai mera phir bhi 'tabish'
is mein apna-ap chhupaya ja sakta hai
Ghazal
Pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai
Abbas Tabish