pagal hawa ke dosh pe jins-e-giran na rakh
is shahr-e-be-lihaz mein apni dukan na rakh
us ka diya hua hai jism us ke supurd kar
rakhne ki is hawas mein tu donon jahan na rakh
is ka zawal dekh ke wo saltanat na chhoD
is zindagi mein lamha-e-sud-o-ziyan na rakh
wo fasl pak chuki thi ab us ka bhi kya qusur
tujh se kaha tha jeb mein chingariyan na rakh
wo jism hai to us ko faqat jism hi samajh
parda kisi fareb ka phir darmiyan na rakh
aaegi har taraf se hawa dastaken liye
uncha makan bana ke bahut khiDkiyan na rakh
wo jism khul raha hai girah-dar-girah 'nazar'
ye tir chuk jaega Dhili kaman na rakh
Ghazal
Pagal hawa ke dosh pe jins-e-giran na rakh
Prem Kumar Nazar