niklo hisar-e-zat se to kuchh sujhai de
gumbad mein bazgasht-e-sada hi sunai de
har ek ufuq fareb-e-nazar hai ki aasman
jhuk kar gale zamin ke milta dikhai de
ya toD de ba-pas-e-ana kasa KHud gada
warna dar-e-baKHil ki ya-rab gadai de
mashriq mein aadmi ko agar phans bhi chubhe
maghrib ka har makin taDap kar duhai de
qahr-e-KHuda KHudaon ke hain qahr ku-ba-ku
aashob-e-shahr mein na duhai sunai de
'rahmat' charagh-e-KHana-e-darwesh hai hayat
ya-rab! koi to chand sa chehra dikhai de
Ghazal
Niklo hisar-e-zat se to kuchh sujhai de
Rahmat Qarni