اردو हिंदी
Nikal mat ghar se tu ai KHana-abaad | Shaahi Shayari
nikal mat ghar se tu ai KHana-abaad

Ghazal

Nikal mat ghar se tu ai KHana-abaad

Raza Azimabadi

;

nikal mat ghar se tu ai KHana-abaad
kiya ab hum ne bhi virana aabaad

qubul hoga kahin to sajda apna
rahen ye kaba o but-KHana aabaad

hamara hi rahe ek jam KHali
mughan rahiyo tera mai-KHana aabaad

rahe us zulf se ye dil pareshan
tera ghar howe yun ai shana aabaad

'raza' luTa hai kis saffak ne aa
kabhi dil ko tere dekha na aabaad