nind in aankhon mein ban kar aae koi
lori man ki mujhe suna jae koi
dur yahan se ja kar sab kuchh bhul gae
hum zinda hain un ko batlae koi
roz-e-azal se hum the akele duniya mein
kahan se aur kaise ab sath aae koi
sach ko main sach man lun ab ye behtar hai
mujh ko qail kaise kar pae koi
aisi kahani kabhi nahin jo guzri ho
wahi kahani mujhe suna jae koi
dard ko sahna bhi aadat mein shamil hai
dard ki kitni had hai samjhae koi
ab kuchh hi lamhon ka safar ye baqi hai
'sahiba' bojh kahan tak sah pae koi
Ghazal
Nind in aankhon mein ban kar aae koi
Sahiba Sheheryar