nihaal-e-wasl nahin sang-bar karne ko
bas ek phul hai kafi bahaar karne ko
kabhi to apne faqiron ki dil-kushai kar
kai KHazane hain tujh par nisar karne ko
ye ek lamhe ki duri bahut hai mere liye
tamam umr tera intizar karne ko
kashish kare hai wo mahtab dil ko zoron ki
chala ye qatra bhi qulzum nisar karne ko
to phir ye dil hi na le aaun KHub chamka kar
tere jamal ka aaina-dar karne ko
qaba-e-marg ho ya raKHt-e-zindagi ai dost
mile hain donon mujhe tar tar karne ko
bahut sa kaam diya hai mujhe un aankhon ne
hawala-e-dil-e-na-karda-kar karne ko
Ghazal
Nihaal-e-wasl nahin sang-bar karne ko
Ahmad Javed