nigahon se nikal kar jo gae hain
wo chehre aainon mein kho gae hain
zamin par nur ki barish thi jin se
sitare aasman mein bo gae hain
khile the jo chaman mein gul ki surat
saba ke sath ruKHsat ho gae hain
jalane wale yaadon ke diye ab
charagh-e-jaan bujha kar so gae hain

Ghazal
Nigahon se nikal kar jo gae hain
Mughni Tabassum