اردو हिंदी
Nigahon se meri nigahen bachae | Shaahi Shayari
nigahon se meri nigahen bachae

Ghazal

Nigahon se meri nigahen bachae

Iqbal Husain Rizvi Iqbal

;

nigahon se meri nigahen bachae
chale aa rahe hain wo tufan uThae

lahu dil ka ashkon mein kyun aa na jae
kahan tak koi raaz-e-ulfat chhupae

usi ki hai duniya usi ka zamana
jo sab kuchh haTa kar kabhi kuchh na pae

abhi kuchh hai baqi nishan-e-nasheman
kaho barq se aur abhi zulm Dhae

chale aaenge KHud wo betab ho kar
junun-e-mohabbat mera baDh to jae

nirale hain rasm-o-riwaj-e-mohabbat
wahi par hota hai jo Dub jae

raha ek aalam na 'iqbaal' apna
kabhi ro diye to kabhi muskurae