nigah karne mein lagta hai kya zamana koi
payambari na sahi dukh payambarana koi
ik-adh bar to jaan warni hi paDti hai
mohabbaten hon to banta nahin bahana koi
main tere daur mein zinda hun tu ye jaanta hai
hadaf to main tha magar ban gaya nishana koi
ab is qadar bhi yahan zulm ko panah na do
ye ghar gira hi na de dast-e-ghaebana koi
ujalta hun main nalain-e-pa-e-laKHt-e-jigar
ki madrase ko chala ilm ka KHazana koi
Ghazal
Nigah karne mein lagta hai kya zamana koi
Sabir Zafar