اردو हिंदी
Nigah-e-yar sun hasil hai mujh kun mai-noshi | Shaahi Shayari
nigah-e-yar sun hasil hai mujh kun mai-noshi

Ghazal

Nigah-e-yar sun hasil hai mujh kun mai-noshi

Daud Aurangabadi

;

nigah-e-yar sun hasil hai mujh kun mai-noshi
lab-e-KHamosh ne baKHsha hai us ke KHamoshi

baja hai gar kare aashiq kun ek daur mein mast
hai jam-e-chashm-e-sanam mein sharab-e-be-hoshi

kiya hai shoKH ne bar mein qaba-e-nafarman
udul kyun na kare wada-e-ham-aghoshi

sajan ke nawak-e-mizhgan ke dil mein haibat rakh
kiya hai main ne ye dariya mane zirah-poshi

kiya nahin hun raqam KHat main is sabab 'daud'
main nama-bar sun kaha hun ki raaz hai goshi