اردو हिंदी
Nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae | Shaahi Shayari
nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae

Ghazal

Nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae

Haya Lakhnavi

;

nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae
to zarra zarra mohabbat ka raaz-dan ho jae

phir is ke ranj-o-gham o dagh ki had hai koi
jo is jahan mein ghaDi bhar ko shadman ho jae

kasi se kya gila-e-jaur-e-asman kije
ki jis zamin pe rahen hum wo aasman ho jae

'haya' Thikana bhi kuchh aisi dard-mandi ka
ki lab tak aae na ek harf aur fughan ho jae