اردو हिंदी
Nigah-e-ahl-e-jahan mein shikasta-haal hun main | Shaahi Shayari
nigah-e-ahl-e-jahan mein shikasta-haal hun main

Ghazal

Nigah-e-ahl-e-jahan mein shikasta-haal hun main

Mohammad Siddiq Saib Tonki

;

nigah-e-ahl-e-jahan mein shikasta-haal hun main
jawab jis ka nahin hai wo ek sawal hun main

buland hun to sar-e-arsh-e-zul-jalal hun main
jo past hun to phir ek farsh-e-paemal hun main

bhula sakenge abad tak na ahl-e-dard mujhe
jahan-e-ishq-o-mohabbat mein la-zawal hun main

mera maqam har ek dil mein hai judagana
agar yaqin nahin hun to ehtimal hun main

uruj-o-past mera dars hai jahan ke liye
bana hun badr kabhi to kabhi hilal hun main

chaman mein hae wo ek barg-e-zard ka kahna
bahaar-e-haal mein yaad-e-guzishta-sal hun main

majal-e-did hai 'saib' na tab-e-nutq mujhe
kisi ke samne taswir ki misal hun main