nazar uTha ke jo dekha udhar koi bhi na tha
sulagti dhup ki sarhad pe ghar koi bhi na tha
har ek jism tha ek poster shuaon ka
sulagte dasht mein ThanDa shajar koi bhi na tha
chamakte din mein to sab log sath the lekin
udas shab mein mera ham-safar koi bhi na tha
har ek shahar mein tha iztirab ka aaseb
jahan sukun ho aisa nagar koi bhi na tha
sabhi ko fann-e-jarahat se waqafiyyat thi
hamari tarah wahan be-hunar koi bhi na tha
sab apne kamron mein masti ki nind soe the
siyah shab mein sar rahguzar koi bhi na tha
jo talKH sham ke sayon ko qatl kar deta
tamam-shahr mein itna niDar koi bhi na tha
mere zawal ki sab ko thi aarzu 'asad'
mere kamal se KHush-dil magar koi bhi na tha

Ghazal
Nazar uTha ke jo dekha udhar koi bhi na tha
Asad Badayuni