اردو हिंदी
Nazar to aa kabhi aankhon ki raushni ban kar | Shaahi Shayari
nazar to aa kabhi aankhon ki raushni ban kar

Ghazal

Nazar to aa kabhi aankhon ki raushni ban kar

Kishwar Naheed

;

nazar to aa kabhi aankhon ki raushni ban kar
zamin-e-KHushk ko sairab kar nami ban kar

racha hua hai teri kam nigahiyon ka karam
nashe ki tarah mere dil mein sarKHushi ban kar

kabhi to aa sitam-e-jaan-gusil hi dene ko
kabhi guzar unhi rahon se ajnabi ban kar

KHusha ki aur mila gham ka taziyana hamein
KHusha wo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar

hui na un se wafa tum se kya hua 'nahid'
abhi talak jiye jati ho bawli ban kar