اردو हिंदी
Nazar nazar se mila kar kalam kar aaya | Shaahi Shayari
nazar nazar se mila kar kalam kar aaya

Ghazal

Nazar nazar se mila kar kalam kar aaya

Tariq Qamar

;

nazar nazar se mila kar kalam kar aaya
ghulam shah ki ninden haram kar aaya

kai charagh hawa ke asar mein aae the
main ek jugnu ko un ka imam kar aaya

ye kis ki pyas ke chhinTe paDe hain pani par
ye kaun jabr ka qissa tamam kar aaya

utarti sham ke sae bahut malul se the
so ek shab main wahan bhi qayam kar aaya

ye aur baat mere panw kaT gae lekin
main shahrah ko ek rah-e-am kar aaya

karun kalam kisi aur se main kya 'tariq'
ki apne lafz to sab us ke nam kar aaya