nazar mein manzar-e-rafta sama bhi sakta hai
koi bhulaya hua yaad aa bhi sakta hai
main us se ruTh gaya hun magar ye haq hai use
manana chahe to mujh ko mana bhi sakta hai
main us ke rahm-o-karam par hun ek muddat se
jala bhi sakta hai mujh ko bujha bhi sakta hai
ye iKHtiyar use de diya gaya hai ki wo
hinsa bhi sakta hai mujh ko rula bhi sakta hai
'hasn-jamil' banaya tha is ne dil se mujhe
kisi bhi waqt magar wo miTa bhi sakta hai
Ghazal
Nazar mein manzar-e-rafta sama bhi sakta hai
Hasan Jameel