nazar ki dhup mein aane se pahle
gulabi tha wo sanwlane se pahle
suna hai koi diwana yahan par
raha karta tha virane se pahle
khila karte the KHwabon mein kisi ke
tere takiye pe murjhane se pahle
mohabbat aam sa ek waqia tha
hamare sath pesh aane se pahle
nazar aate the hum ek dusre ko
zamane ko nazar aane se pahle
tajjub hai ki is dharti pe kuchh log
jiya karte the mar jaane se pahle
raha karta tha apne zoam mein wo
hamare dhyan mein aane se pahle
muzayyan thi kisi ke KHal-o-KHad se
hamari sham paimane se pahle
Ghazal
Nazar ki dhup mein aane se pahle
Sarfraz Zahid