nazar bahaar na dekhe to be-qarar na ho
KHizan sukun se guzre agar bahaar na ho
nigah-e-dil mein jo rangini-e-bahaar na ho
gunahgar-e-tamasha gunahgar na ho
fareb-e-nikhat-o-rang aagahi shikar na ho
karishma-kar-e-chaman mein agar bahaar na ho
KHizan ke jaur-e-musalsal pe be-qarar na ho
bahaar dekh magar KHugar-e-bahaar na ho
baja hai ghunche ka josh-e-numu se khil uThna
jo gul pe aai wo guzri hui bahaar na ho
mera shuur-e-bahaaran KHizan pe ghash ho 'sahab'
agar wo naqs-e-bahaaran ki yaadgar na ho

Ghazal
Nazar bahaar na dekhe to be-qarar na ho
Shiv Dayal Sahab