nazar aasuda-kaam-e-raushni hai
mere aage sarab-e-agahi hai
zamanon ko mila hai soz-e-izhaar
wo saat jab KHamoshi bol uThi hai
hansi si ek lab-e-zauq-e-nazar par
shafaq-zar-e-tahayyur ban gai hai
zamane sabz o surKH o zard guzre
zamin lekin wahi KHakistari hai
pighalta ja raha hai sara manzar
nazar tahlil hoti ja rahi hai
dhundlakon ko andhere chaT lenge
ki aage ahd-e-marg-e-raushni hai
bikharte karwan ye irtiqa ke
sarasima sa zauq-e-zindagi hai
main dekhun to dikha dunga tumhein 'saz'
abhi mujh mein basirat ki kami hai
Ghazal
Nazar aasuda-kaam-e-raushni hai
Abdul Ahad Saaz