naya paiman raushan kar gaya hai
wo aatish-dan raushan kar gaya hai
koi taq-e-nazar mein shama rakh kar
dil-e-viran raushan kar gaya hai
ufuq par Dubne wala sitara
kai imkan raushan kar gaya hai
mere kamre ka ek tarik gosha
koi mehman raushan kar gaya hai
mere dushman ka hai ehsan mujh par
meri pahchan raushan kar gaya hai
bahut maddham si thi aafaq ki lau
magar insan raushan kar gaya hai
Ghazal
Naya paiman raushan kar gaya hai
Khaavar Ejaz