اردو हिंदी
Naya ab silsila joDa na jae | Shaahi Shayari
naya ab silsila joDa na jae

Ghazal

Naya ab silsila joDa na jae

Prabudha Saurabh

;

naya ab silsila joDa na jae
puranon ko magar toDa na jae

mujhe jo chhoD jaana chahta hai
agar jae to phir thoDa na jae

bahut nuqsan karti hai KHudi ka
ana ka ruKH agar moDa na jae

tamanna aasmanon ke safar ki
magar aangan ki bas chhoDa na jae