nawed-e-wasl-e-yar aae na aae
barabar hai bahaar aae na aae
tujhe karna hai jo kuchh aaj kar le
ki phir ye rozgar aae na aae
kiye ja dard-e-dil ai na-muradi
kisi ko e'tibar aae na aae
koi pursan na ho jab haal-e-bad ka
tamanna sogwar aae na aae
jo wo bil-farz ho pursish pa mail
dil-e-bismil qarar aae na aae
sitam se jab talafi ho sitam ki
tumhin kah do ki pyar aae na aae
'asar' hai aur lazzat be-KHudi ki
wo jaan-e-intizar aae na aae
Ghazal
Nawed-e-wasl-e-yar aae na aae
Asar Lakhnavi