اردو हिंदी
Nau-ba-nau ek umaDta hua tufan tha main | Shaahi Shayari
nau-ba-nau ek umaDta hua tufan tha main

Ghazal

Nau-ba-nau ek umaDta hua tufan tha main

Sahil Ahmad

;

nau-ba-nau ek umaDta hua tufan tha main
bahte dariya ke liye ek yahi pahchan tha main

main kisi nuqta-e-be-lafz ka izhaar nahin
han kabhi harf-e-ana waqt ka irfan tha main

deti thi zauq-e-nazar mujh ko gunah ki targhib
yun farishta to na tha han magar insan tha main

un se ai dost mera yun koi rishta to na tha
kyun phir is tark-e-talluq se pasheman tha main

kis tasawwur ke tahat rabt ki manzil mein raha
kis wasile ke tassur ka nigahban tha main

phir pas-e-lafz yahi baat uThi thi kal shab
bikhre lafzon ke liye bais-e-haijaan tha main

is kahani mein koi rabt o tasalsul bhi nahin
kyun ki is zist ka sahil yahi unwan tha main