nasib-e-chashm mein likkha hai gar pani nahin hona
to kya ye tai hai ab ranj-e-pashemani nahin hona
sakun se ja lagegi dil ki kashti apne sahil se
ki is barsat mein dariya ko tufani nahin hona
sabhi kuchh tai-shuda mamuli jaisa hone wala hai
kisi bhi waqiye ko wajh-e-hairani nahin hona
junun mein mumkina had tak rahega hosh bhi shamil
meri jaan be-zarurat kar-e-nadani nahin hona
hamin un KHush-nasibon mein se hain, jin ke nasibon mein
KHuda ne saf likkha hai pareshani nahin hona
Ghazal
Nasib-e-chashm mein likkha hai gar pani nahin hona
Shahram Sarmadi

