naqab chehre se us ke kabhi sarakta tha
to kale baadalon mein chand sa chamakta tha
use bhi KHitta-e-sarsabz mil gaya shayad
wo ek abr ka TukDa jo kal bhaTakta tha
wo mere sath jo chalta tha ghar ke aangan mein
to mahtab bhi palken bahut jhapakta tha
ye kah ke barq bhi barsat mein bahut roi
ki ek peD chaman mein ghazab mahakta tha
gham-e-hayat ne baKHshe hain sare sannaTe
kabhi hamare bhi pahlu mein dil dhaDakta tha
jo ho gai hai kabhi abr ki nawazish bhi
to saeban kai din talak Tapakta tha
akele par utar ke bahut hai ranj mujhe
main us ka bojh uTha kar bhi tair sakta tha
Ghazal
Naqab chehre se uske kabhi sarakta tha
Irfan Ahmad