nami thi aankh mein lekin ek e'timad bhi tha
mujhe to hausla jine ka us ke baad bhi tha
bujhe hue dar-o-diwar jaante honge
kabhi yahan tere jalwon ka iniqad bhi tha
wo ek ism-e-tawalat jo shab ki kaT sake
wo ism aalam-e-wahshat mein mujh ko yaad bhi tha
KHizan-nasib sahi aaj shaKH-sar-e-hayat
hawa ka aana kabhi sehn-e-dil mein sad bhi tha
sitara dekh ke nikli thi main safar ke liye
magar sitare ko taqdir se inad bhi tha

Ghazal
Nami thi aankh mein lekin ek etimad bhi tha
Narjis Afroz Zaidi