اردو हिंदी
Najat ke liye roz-e-siyah mangti hai | Shaahi Shayari
najat ke liye roz-e-siyah mangti hai

Ghazal

Najat ke liye roz-e-siyah mangti hai

Mohammad Izhar ul Haq

;

najat ke liye roz-e-siyah mangti hai
zamin ahl-e-zamin se panah mangti hai

bhara na atlas-o-marmar se peT KHilqat ka
ye bad-nihad ab aab-o-giyah mangti hai

riyazaton se farishta-sifat to ho na saki
mohabbat aai hai tab-e-gunah mangti hai

wo rang-e-kucha-o-bazar hai ki ab basti
gharon se dur alag qatl-gah mangti hai

ragon mein dauDta phirta hai ijz sadiyon ka
raiyat aaj bhi ek baadshah mangti hai