nai zaminon ko arz-e-guman banate hain
KHuda ke baad koi saeban banate hain
wo ek lamha jise tum ne muKHtasar jaana
hum aaise lamhe mein ek dastan banate hain
purane rishte phir aane lage hain apne qarib
nae sire se chalo duriyan banate hain
KHirad nahin hai yahan bas junun ka sauda
hum is junun se aage makan banate hain
wo ishq-zade jinhen sufiya kaho ho tum
wo lab hilate hain aur do-jahan banate hain
Ghazal
Nai zaminon ko arz-e-guman banate hain
Taleef Haidar