nai zamin naya aasman banate hain
hum apne waste apna jahan banate hain
bujhi bujhi si wo taswir-e-jaan banate hain
kahin charagh kahin par dhuan banate hain
bayan karte hain hum dastan lafzon mein
zara si baat ki wo dastan banate hain
chamakti dhup mein kirnen sameTte hain hum
unhin ko tan ke phir saeban banate hain
sukun-e-dil ke liye hum bhi rose kaghaz ke
kabhi to phul kabhi titliyan banate hain
jo madd-o-jazr se waqif nahin hain dariya ke
wo sahilon pe hi aksar makan banate hain
banate rahte hain 'jawed' kashtiyan lekin
hum un ke waste phir baadban banate hain
Ghazal
Nai zamin naya aasman banate hain
Khawaja Javed Akhtar

