اردو हिंदी
Nai zamin nae aasman sanwarte rahen | Shaahi Shayari
nai zamin nae aasman sanwarte rahen

Ghazal

Nai zamin nae aasman sanwarte rahen

Kabir Ajmal

;

nai zamin nae aasman sanwarte rahen
yahi hai shart to phir harf harf marte rahen

yahi saza hai ki lamhon ki baz-gasht ke baad
sadi sadi tere kuche mein bain karte rahen

wo inqilab lakiron se jo ubhar na saka
kahan talak usi KHake mein rang bharte rahen

kuchh aur chahiye diwangi ko hadd-e-junun
kuchh aur arsa-e-mahshar ki hum guzarte rahen

koi sada koi aawaza-e-jaras hi sahi
koi bahana ki hum jaan nisar karte rahen