nahin ye zid ki har ek dard tu mera le ja
jo ho sake to ye barson ka rat-jaga le ja
tera to kya ki KHud apna bhi main kabhi na raha
mere KHayal se KHwabon ka silsila le ja
kisi ne dur bahut dur se pukara phir
dilon ki qurbaten aankhon ka fasla le ja
nikal gaya hun bahut apni zat se aage
tu mujh se mere bichhaDne ka saneha le ja
main KHud hi apne taaqub mein phir raha hun abhi
uTha ke tu meri rahon se rasta le ja
ajib zahr rawan hai lahu ki gardish mein
kabhi to sholagi-e-jaan ka zaiqa le ja
amir-e-shahr mujhe hurmat-e-hunar hai bahut
ye apna turra-e-dastar ye qaba le ja
Ghazal
Nahin ye zid ki har ek dard tu mera le ja
Lutf-ur-rahman