nahin miTtin teri yaaden nadi mein KHat bahane se
ye akasr lauT aati hain kisi dilkash bahane se
bhula paya nahin main daur-e-mazi ke hasin lamhe
kabhi tu yaad bhi kar le talluq ye purane se
namak-pashi zamane ne mere zaKHmon pe ki paiham
magar main baz kab aaya hun phir bhi muskurane se
tumhein jis ke liye hum ne chuna wo kaam bhi karna
mile tum ko agar fursat hamara ghar jalane se
muqabil aaine ke aa gaya hai bhul se shayad
mujhe lagta hai kuchh aisa hi us ke tilmilane se
qafas ko toDne ki ab ke us ne bhi to Thani hai
yahi paigham milta hai paron ko phaDphaDane se
mujhe malum hai hargiz palaT kar aa nahin sakta
guzarish hai magar meri 'asar' guzre zamane se

Ghazal
Nahin miTtin teri yaaden nadi mein KHat bahane se
Pramod Sharma Asar