nahin malum ab ki sal mai-KHane pe kya guzra
hamare tauba kar lene se paimane pe kya guzra
barahman sar ko apne piTta tha dair ke aage
KHuda jaane teri surat se but-KHane pe kya guzra
mujhe zanjir kar rakkha hai un shahri ghazalon ne
nahin malum mere baad virane pe kya guzra
hue hain chur mere ustuKHwan patthar se Takra ke
na puchha ye kabhi tu ne ki diwane pe kya guzra
'yaqin' kab yar mere soz-e-dil ki dad ko pahunche
kahan hai shama ko parwa ki parwane pe kya guzra
Ghazal
Nahin malum ab ki sal mai-KHane pe kya guzra
Yaqeen Inamullah Khan