nahin kuchh faiz hasil tha zamane se KHafa ho kar
main diwana bana hun KHud hi us but par fana ho kar
meri duniya mein ashk-o-KHun ka tanta raha har-dam
kabhi teri wafaon mein kabhi tum se juda ho kar
tasawwur mein bhi pindar-e-wafa ka lutf hasil tha
tumhaari zulf-e-qatil-e-pesha ke KHam mein fana ho kar
ganwai ashkon ne tasir jo KHun-e-jigar ki thi
gira jab aab-e-gauhar bhi libas-e-tan pe wa ho kar
yahi duniya ki tang-bini se milta hai wafaon ko
juda ho jate hain aashiq sanam se bewafa ho kar
wahi be-sud si bandish zamane ke usulon ki
wafa ko qaid kar deti hain zanjiren saza ho kar
main kin majburiyon ka ab karun matam bata 'baaligh'
jo paya be-KHudi mein wo ganwaya aashna ho kar

Ghazal
Nahin kuchh faiz hasil tha zamane se KHafa ho kar
Irfan Ahmad mir