nahin hawa mein ye bu nafa-e-KHutan ki si
lapaT hai ye to kisi zulf-e-pur-shikan ki si
main hans ke is liye munh chumta hun ghunche ka
ki kuchh nishani hai us mein tere dahan ki si
KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo
mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si
hazar tan ke chalen banke KHub-ru lekin
kisi mein aan nahin tere bankpan ki si
mujhe to us pe nihayat hi rashk aata hai
ki jis ke hath ne poshak tere tan ki si
kaha jo tum ne ki manka Dhala to aaunga
hai baat kuchh na kuchh is mein bhi makr-o-fan ki si
wagarna sach hai to ai jaan itni muddat mein
yahi bas ek kahi tum ne mere man ki si
wo dekh shaiKH ko la-haul paDh ke kahta hai
ye aae dekhiye daDhi lagae san ki si
kahan tu aur kahan us pari ka wasl 'nazir'
miyan tu chhoD ye baaten diwane-pan ki si
Ghazal
Nahin hawa mein ye bu nafa-e-KHutan ki si
Nazeer Akbarabadi