nahin hai yun ke dama-dam hawa ne raqs kiya
shadid habs tha kam kam hawa ne raqs kiya
bas ek main hi wahan par tawaf mein to na tha
darun-e-shahr-e-mukarram hawa ne raqs kiya
charagh qatl hua to KHushi se maqtal mein
laga ke nara-e-raqsam hawa ne raqs kiya
tamam din ki tamazat ke baad raat gae
giri jo phul pe shabnam hawa ne raqs kiya
samundaron ke safar se palaT ke aai to
zara zara si hui nam hawa ne raqs kiya

Ghazal
Nahin hai yun ke dama-dam hawa ne raqs kiya
Asif Rasheed Asjad