اردو हिंदी
Nahin hai par koi imkan ho bhi sakta hai | Shaahi Shayari
nahin hai par koi imkan ho bhi sakta hai

Ghazal

Nahin hai par koi imkan ho bhi sakta hai

Azhar Naqvi

;

nahin hai par koi imkan ho bhi sakta hai
wo ek shab mera mehman ho bhi sakta hai

ajab nahin ki bichhaDne ka faisla kar le
agar ye dil hai to nadan ho bhi sakta hai

mohabbaton mein to sud-o-ziyan ko mat socho
mohabbaton mein to nuqsan ho bhi sakta hai

bahut garan hai judai magar jo hona ho
to phir ye faisla aasan ho bhi sakta hai

bas is KHabar se ki ye shahr hai hujum sa kuchh
bas ek KHabar se ye viran ho bhi sakta hai